Zaroorat – ضرورت
Zaroorat – ضرورت
Falak jaisa ho dil uska
Qadam suraj ke jaise hon
Wo karriyal jism rakhta ho, Nigha shehbaaz jaisi ho
Wo bole tau mohabbat karwatein leti ho lafzon mein
Badan ke gandami peikar mein garmi ho qayamat ki
Kuch aisa sarw’qaamat ho, chale jo saath mere tau
Usey ruk ruk ke dekhein larkiyaan rah mein
Siyaah baalon ka koi sheid jo aajaey maathey par
Tau do’pehron mein dam bhar shaam ke saaye ubhar aayein
Mujh aisi kehkashaaon ko wajahat dekh kar uski
Zameen par toot girne ki tammana tang kerti ho
Magar mein sochti hon, waqi’atan koi aisa ho
Tau kya mere qadam bhi bhool jayeingay gali apni
Nahein, …. aisa nahein hoga
Nahein aisa nahein hoga
Bohut hi khoobsurat hai …meri shaadaab tanhaee
Bohut hi khoobsurat hai
Jisey meri zaroorat hai !!!
No comments:
Post a Comment