Surkh Phoolon – سرخ پھولوں
Jaane is wehshat-kadey mein mera chehra hai kahan
Titliyaan jab khat-khatati hain mere deewar-o-der
Mon lapetey soi rehti hon mein kuch bejaan si
Jaag jaon gi tau le jayeingi phir jungle mujhey
Aag jaise phool ab ke raakh ker deingay mujhey
Aur mujhey jungle nahi jana hai basti se parey
Wo bhi jungle tha jahan per surkh pholon se ladey
Peir paudey Paon mein zanjeer ban ker thay parey
Por por angaaron se dukh aashna hoti rahi
Dar bicharne ka liye tanha wahan chalti rahi
Un ke chehron se mujhey chehra mera milta nahin
Urr gai khushboo badan se, Mah’roo na Mah’jabeen
Zard sarkandon mein ojhal ho gaya nakhl’e'sukoon
Mera chera le gaya hai surkh pholon ka fusoon.
No comments:
Post a Comment