Friday, 26 October 2012

Khwahishein – خواہشیں ہوش کھوئے جاتی ہیں

Khwahishein – خواہشیں ہوش کھوئے جاتی ہیں

Small DiamondSmall Diamond

Khwahi’shein Hosh khoye jaati hain

Dard ke beij boy’ey jaati hain


Ungliyon se lahoo tapaknay laga

Phir bhi kaliyaan puroye jaati hain


Kaisa nasha hai surkh phoolon mein

Titliyaan un pe soye jaati hain


Kitni pyaari hain chandni Raatein

Tumko dil mein samoyey jaati hain


Chooriyaan bholay bisrey bachpan ki

Kaisi tees’ein chubhoye jaati hain


Kuch bhi usne kaha nahi lekin

Aankhein har lamha roye jaati hain


Waqt’e'rukhsat khushi ki boondein kyon

Mera ghoonghat bhigoyey jaati hain


Dhoop se meine bhar diya aangan

Baarishein phir bhi hoyey jaati hain


Mere Naina ko hasratein meri

Aanso’on mein duboyey jaati hain

No comments:

Post a Comment