Usko Bhi – اس کو بھی
Usko bhi meri tarah neend kidher aati hai
Raat bhar roshni khirrki se nazar aati hai
Be’khayaali mein jo deewar pe ruk jaye nazar
Baat kerti hui tasweer ubher aati hai
Deep jaltey hi sulag uth’ti hain yaadein uski
Phir udaasi bhi lagaye huey par aati hai
Khud sulag uthti hai ye jism ki geeli lakri
Roz cholhey mein jo barsaat uter aati hai
Mujhko aata hai kisi dil ke sulagne ka khayaal
Jab dhuan Uth’ta hai ya aag nazar aati hai
Coat ki jeib mein khil uthta hai roomal ka rang
Jaise collar pe kali khoob nikher aati hai
Kaun chupke se uter aaya hai dil mein naina
Hum tau sunte thay dabey paon seher aati hai
No comments:
Post a Comment