Wednesday, 31 October 2012

Kora – کورا

Kora – کورا

Chandni ke haaley mein kis ko khoj’ti ho tum


Chup ke yun udaasi mein kis ko sochti ho tum


Baar baar chorri ke sur kissey sunati ho


Shor se sadaa kiss ki torr torr laati ho


Bazm mein baharon ki khoi khoi lagti ho


Doston ke majmey mein kyon akeli hoti ho


Mauj mauj behti ho aanso’on mein rehti ho


Jhalaron se palkon ki toot toot jaati ho


Bulbuley ki surat mein phoot phoot jati ho


Dhund se lipat ker kyon sooni rah takti ho


Khirkiyon se barkha ko dekh kar bilakti ho


Saare sapne aankhon se eik baar behne do


Raat ki abhagun ko tara tara gehne do


Maazi, haal, mutaqbil kuch tau kora rehne do


Pull ke neeche behne do aanso’on ki ye nadiyaan


Waqt chalta jaey ga beeit jayein gi sadiyaan


Be’hison ki basti mein be’hissi ko rehne do


Dil tau poora pagal hai iss ko poora rehne do


Ye jo kehte rehta hai, Iss ko bhi wo kehne do


Tum, ye kora rehne do !!!

No comments:

Post a Comment