Mein Chali – میں چلی جاؤں گی
Mein Chali – میں چلی جاؤں گی
Mein chali jaon gi yaadon ko muqaf’fal ker ke
Us ki bakhshi hui saanson ko mukam’mal ker ke
Khud hi jab bhool ke aati hon mein apni chatri
Kyon wo mil jati hai wapas mujhey jal’thal ker ke
Kachi deewaron pe rakh leti hon dukh sukh ke charaagh
Aankh se oonchi Imaraat ko oojhal ker ke
Ab sanwaron gi bhala kaise sarapa apna
Zaat ko apni tau rakh daala hai jungle ker ke
Baad muddat jo khushi aayi thi pal bhar ke liye
Oorh leti hon usi lamhey ko aanchal ker ke
Ye judai ke andheron mein damakti hui raat
Chandni choray gi Ik din mujhay pagal ker ke
Ta’ana’zan hain wo meri fikr ki beenai par
Jin ko Naina ne saja rakha hai kajal ker ke
No comments:
Post a Comment