Thursday, 25 October 2012

Subha Ke Roop – صبح کے روپ میں

Subha Ke Roop – صبح کے روپ میں

Subhah ke roop mein jab dekhne jaati hon usey
Sheeshey ki eik kiran ban ke jagati hon usey

Baal kholey huey phirti hon kisi khwab ke saath
Shaam ko roz hi roti hon rulati hon usey

Yaad meri bhi pari rehti hai takiye ke taley
Aakhri khat ki tarah roz jalati hon usey

Rah mein uski bicha deti hon tooti choori
Chubh ke kaante ki tarah roz satati hon usey

Bhoole bisrey kisi lamhe ki mehekti khushbo
Goondh ke apne parandey mein jhulaati hon usey

Roz aa jati hon kamrey mein hawa ki surat
Kundi khar’kaey bina us se churati hon usey

Bad’mizaji tau nahi ye hai mohabbat meri
Roz larti bhi hon phir roz manati hon usey

Apne bheege hoey Naina ka samajh ker moti
Shaam ke neeley dupat’tay mein lagati hon usey

No comments:

Post a Comment