Takhleeq – تخلیق کا عمل
Takhleeq ka amal usey sachi khushi laga
Aurat ko karb’e'zaat nai zindagi laga
Lagta hai mujhko mein kisi murdah badan mein thi
Jeene ka hosla jo mila ajnabi laga
Aati hui ruton ki achanak khaber mili
Jab rang dhaalne koi tazah kali laga
Sapne mein kya likha hai ye tune Nigaar’e'shab
Wo chaand ki misaal mujhey chaand hi laga
Ik jheel mein kanwal pe wo meh’we’ Khiraam khwab
Aankhon ke paaniyon ki mujhe shairy laga
Khushboo se jis ki rehti hon sarshaar O dam’ba’khud
Paiker mera usi ko bohut kaamni laga
Naina Ur’ri jo neend tau ik jaan’fiza khayaal
Khushboo laga bahaar laga roshni laga
No comments:
Post a Comment