Kabhi Tum Bhi – کبھی تم بھی ہم کو
Kabhi Tum Bhi – کبھی تم بھی ہم کو
Kabhi Tum bhi humko Hi sochna
Raha Dil kahan, Kabhi khojna
Kabhi Udte panchi dabochna
Kabhi khud khurand ko nochna
Kabhi jab shafaq mein hansi khiley
Kisi nain jheel mein khoon miley
Tau udaas chand ko dekhna
Koi Rukh akele hi dhoondna
Ye rutein jo dheere se chooti hain
Humein khushbo’on se bhigoti hain
Ye rutein na phir kabhi aayeingi
Ye tau rooth rooth ke jayeingi
Ye rutein anookha suroor hain
Ke ye paas hoke bhi dor hain
Inhein tum dua’aon mein dhalne do
Inhein aasmaan ko chalne do
Suno hook jab kisi koonj mein
Inhein sard hawaon ki goonj mein
Tau udaas chaand ko dekhna
Kabhi tum bhi humko hi sochna
Farzana Naina
No comments:
Post a Comment