Dard Ki Neeli Ragein 2 درد کی نیلی رگیں تہہ سے
Dard ki neeli ragein teh se ubhar aati hain
Yaad ke zakhm mein chingaariyaan dar aati hain
Roz parchaiyaan yaadon ki parindey ban ker
Ghar ke pichwaaray ke peepal pe uter aati hain
Suratein banti hain chahat ki ye kis mitti se
Baar’ha mitt ke bhi ye baar’e'digar aati hain
Ooday ooday se safooray ki ghanee tehniyoon se
Yaad ki surmaee kirnein si guzar aati hain
Roz khirki se qareeb us aam ke paas
Tootiyaan chonch mein lay lay ke sehar aati hain
Ik wiraasat ki tarah gaon ki gurr si batein
Gathriyaan baandh ke iss dil ke nagar aati hain
Jitna bhi chahon dar’e'yaar se bach ker niklon
Tohmatein utni ziyaada meray sar aati hain
Itni si baat pe acchi nahein shoreedah’sari
Shaam ko chiriyaan tau sab apnay hi ghar aati hain
Sharm se uljhay duppattay ki jo kholon girhein
Dil ki Naina ragein sab khulti nazar aati hain
No comments:
Post a Comment