Misaal-E-Berg – مثال برگ
Misaal E barg mein khud ko Urrana chahti hon
Hawa E Tund pe maskan banana chahti hon
Wo jin ki aankhon mein hota hai zindagi ka malaal
Usi Qabeele se khud ko milana chahti hon
Jahan Ke band hain sadiyoon se mujh pe darwaze
Mein eik baar usi ghar mein jana chahti hon
Sitam shua’ar ki chaukhat pe Adl ki zanjeer
Bara ‘e’ daad’rasi kyon hilana chahti hon
Najane kaise guzaron gi hijer ki saat
Gharri ko torr ke sab bhool jana chahti hon
Musafaton ko miley manzil e talab Naina
Musafiraa hon wafa ki thikana chahti hon
No comments:
Post a Comment