Wednesday, 31 October 2012

Hawa Ki Seetiyaan – ہوا کی سیٹیاں

Hawa Ki Seetiyaan – ہوا کی سیٹیاں

Gai shaamon ki ronaq zard pat’ton ki tarah urr ker
Sehan mein shor kerti hai
Shafaq khanabadoshon ki tarah dar dar bhatakti hai
Diye ki lou bharakti
Bicharny waley jab saare kabooter laut aate hain
Tau mein us chaand ki thaali mein apne khwab rakhti hon
Teri basti mein jaati hon
Jahan aawaaz par teri meri aawaaz raqsaan thi
Magar us lamhe jaane kyon
Hawaein sur badalti hain
Kahani cheen ker mujh se
Mere dil ko masalti hain
Kateeley zakhm deti hain
Mein inn dhundli fazao’un mein
Thitharti sard shaamon mein
Zamastani hawa ke barf our’rhey marghzaaron mein
Sada’ein chorr kar chup chaap ghar ko laut aati hon
Dareechey bund kerti hon
Sama’at bund karti hon
Magar kambakht, jaane kaun se rastey se aati hain
Barri be’sur hawa’on ki
Fasurdah seetiyaan saari
Hawaa ki seetiyaan saari !!!

No comments:

Post a Comment