Chand ka jadoo – چاند کا جادو
Chand ka jadoo – چاند کا جادو
Pooch lo hawaon se Ya naddi ki lehron se
Khwahishein machalti hain dil mein dharkanein ban ker
Koray tan ke saey mein titliyon ka dera hai
Neele neele saahil par chandnithirakti hai
Bond bond paani ki koi geet gaati hai
Yaad ki hararat se shaam jalne lagti hai
Zard zard rangat par kaisi rut utarti hai
Jaane kaun sa mausam ird gird hota hai
Sadali hatheli par surkh phool mehndi ke
Khud hi ugnay lagtay hain
Surkh surkh phoolon ki neeli rag ko chotay hi
Ghao kaise banta hai ?
Ye hisaar kaisa hai ?
Ye duaein kis ki hain ?
Kya diye mohabbat ke eik baar lou de kar
Phir kabhi nahi bujhtay ?
Aaj bhi usi pul par eik khoi si larki
Intizaar mein baithi
Mah’O'saal ke moti, ankhriyon se chunti hai
Titliyon ke jhurmat se bach saki agar tau bhi
Poray chand ka jadoo jaan leke choray gaa
Saans jab tak aati hai ye laho nichoray gaa…!!!
No comments:
Post a Comment