Sunday, 3 March 2013

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n Allama Iqbal  sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n
taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n
kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n
tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n
isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n
gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n

No comments:

Post a Comment