Wednesday, 13 March 2013

Andaaz-e-BayaaN Aur

jalaa hai jism jahaaN dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho jo ab raakh justajoo kyaa hai


jism = body
justajoo = search

naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahreer kaa
kaaGazii hai pairahan harpaikar-e-tasweer kaa


ye masaa_il-e-tasawwuf ye teraa bayaan "Ghalib"
tujhe ham walii samajhate jo ba baadaa_Khwaar hotaa
[Mirza Ghalib]


har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
tumhiiN kaho ki ye andaaz-e-guftagoo kyaa hai


aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karooN Khoon-e-jigar hone tak


muhabbat meN nahiiN hai farq jeene aur marane kaa
usii ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikale


farq = difference
kaafir = non-believer

raagoN meN dauRate phirane ke ham nahiiN qaayal
jab aaNkh hii se na Tapakaa to phir lahoo kyaa hai


qaayal = fan/admirer (of)

No comments:

Post a Comment